jo bujh chuke hain wo lamhe ujalta kyon hai mere badan pe kharashen bhi dalta kyon hai main mo'tariz to nahin hun magar ye samjha de jo marna hai to duniya ko palta kyon hai tujhe talash hai jis ki wo teri zat mein hai ye koh-o-ban ye samundar khangalta kyon hai nahin hai wo tera koi to phir zarurat kya tu us ke husn ko sheron mein dhaalta kyon hai agar nahin hun main manind-e-mehr-o-mah to mujhe zamin se koi falak par uchhaalta kyon hai shikast-o-marg mein jab tarz-e-asman hai to phir tu apne tute hue par sambhaalta kyon hai na main rasul na hadi na peshwa na imam mujhe tu mere watan se nikalta kyon hai