jo chehre ki banawat se yun zulfon ko hatati ho udhar ka puchho mat hum se idhar bijli giraati ho hamin ko jaan kahti ho hamin pe aap marti ho aman chhodo ye zid apni hamein kitna satati ho abhi chhoda kahan tujh ko abhi kya baat bigdi hai kinare par khade hain hum ki tum aansu bahati ho hamein to naz tha tum par tumhein bhi naz hona tha jalana tha zamane ko ki tum hum ko jalati ho ye mausam hai bazaron ka ki raunaq khinch lati hai hamari jeb khali kar diwali tum manati ho to kal kuchh kah rahin thi 'muntazir' tum thik dikhte ho main puchhun bhi bhala to kya bahut baaten banati ho