jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin

jo dekhiye to karam ishq par zara bhi nahin
jo sochiye ki khafa hain to wo khafa bhi nahin

wo aur honge jinhen maqdarat hai nalon ki
hamein to hausla-e-ah-e-na-rasa bhi nahin

had-e-talab se hai aage junun ka istighna
labon pe aap se milne ki ab dua bhi nahin

husul ho hamein kya muddaa mohabbat mein
abhi saliqa-e-izhaar-e-muddaa bhi nahin

shaguft-e-gul mein bhi zakhm-e-jigar ki surat hai
kisi se ek tabassum ka aasra bhi nahin

zahe hayat tabiat hai e'tidal pasand
nahin hain rind agar hum to parsa bhi nahin

suna to karte the lekin 'saba' se mil bhi liye
bhala wo ho ki na ho aadmi bura bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close