jo dil ko dije to dil mein khush ho kare hai kis kis tarah se halchal agar na dije to wuhin kya kya jatawe khafgi itab akad-bal jo is bahane se hath pakden ki dekh dil ki dhadak hamare to hath jhap se chhuda le kah kar mujhe nahin hai kuchh is ki atkal jo chhup ke dekhen to tad jawe wagar sarihan to dekho phurti ki aate aate nigah rukh tak chhupa le munh ko ulat ke aanchal kare jo wada to is tarah ka ki dil ko sunte hi ho tasalli jo sochiye phir to kaisa wada faqat bahana fareb aur chhal na jul mein aawe na bhid ke nikle na pas baithe 'nazir' ek dam bada hi pur-fan bada hi syana bada hi shokh aur bada hi chanchal