jo din Dhala to ajab bebasi ka manzar tha

jo din dhala to ajab bebasi ka manzar tha
bahut se dhad the dhadon par kahin kahin sar tha

ajab maqam pe sab chhod kar hue rukhsat
koi na tha meri zad par main sab ki zad par tha

main ret ret jo bikhra to ho gaya tahlil
simat ke khud mein jo phaila to ek samundar tha

hui sabhi se baghal-gir maslahat meri
kisi kisi se mila wo jo mere andar tha

qadam utha ke chali zindagi wahi thi meri
jo thak ke baith gaya wo mera muqaddar tha

jawab kyon nahin dete khandar khandar manzar
ye mera shahr tha is mein kahin mera ghar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close