jo dubte hue bazu nikal leta hai samundaron mein bhi tapu nikal leta hai idhar main us ki hatheli pe phul rakhta hun udhar wo jeb se bichchhu nikal leta hai isi liye main gale se nahin lagata use wo pairahan se bhi khushbu nikal leta hai kuchh aisi pyas ka mara hua hai be-sabra ke jam dekh ke chullu nikal leta hai usi ke hath khazane asar ke lagte hain dua ke sath jo aansu nikal leta hai kisi ko raqs sikhata hai waqt ka pahiya kisi ke panw se ghungru nikal leta hai isi liye main sunata nahin ghazal us ko wo sher sun ke taraazu nikal leta hai kisi ke kaam hi aaega jang mein 'harshit' badan se tir agar tu nikal leta hai