jo duhai de raha hai koi saudai na ho apne hi ghar mein kisi ne aag dahkai na ho raste mein is se pahle kab tha itna azhdaham jo tamasha ban raha hai wo tamashai na ho jo mila nazren chura kar chal diya ab kya kahen shahr mein rah kar kabhi itni shanasai na ho apni hi aawaz par chaunke hain hum to bar bar ai rafiqo bazm mein itni bhi tanhai na ho main shua-e-mahr ka mara sahi lekin yahan kaun hai yaro jo is suraj ka shaidai na ho gung bhi hain dekh kar badle hue manzar yahan aur aisa bhi nahin hum mein ki goyai na ho main to apni zat ka ek reza-e-gum-gashta hun wo mujhe dhundega kya jo mera shaidai na ho