jo dushman hai use hamdam na samjho

jo dushman hai use hamdam na samjho
namak ko zakhm ka marham na samjho

sukun milta hai dil se dil ko lekin
har ek saghar ko jam-e-jam na samjho

jo pi loge to mit jaana padega
ye hai zahrab-e-gham zamzam na samjho

tum apne daman-e-hirs-o-hawas ko
misal-e-daman-e-mariyam na samjho

na ho apni khataon par jo nadim
use ham-mashrab-e-adam na samjho

qarina ye bhi hai izhaar-e-gham ka
tabassum ko harif-e-gham na samjho

hon zarre lakh raushan phir bhi un ko
jawab-e-nayyar-e-azam na samjho

ghata gham ki hai ru-e-zindagi par
faza-e-gesu-e-barham na samjho

qayamat hain 'aziz' un ki adaen
kisi ko bhi kisi se kam na samjho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close