jo gir jaun sambhalna jaanti hun

jo gir jaun sambhalna jaanti hun
hawadis se nimatna jaanti hun

shikast-e-aina tak baat pahunche
main is darja sanwarna jaanti hun

hai meri sadgi mein husn aisa
tere dil mein utarna jaanti hun

bharosa rakhna tum meri wafa par
main angaron pe chalna jaanti hun

nahin qail main hargiz khud-kushi ki
magar main tujh pe marna jaanti hun

hun pani ki tarah fitrat mein apni
main har sanche mein dhalna jaanti hun

biphar jaun to jaise lahar koi
chatanon se bhi ladna jaanti hun

junun ban kar jo takraun khirad se
hadon se bhi guzarna jaanti hun

dua-e-nur padh leti hun aksar
balaon se nimatna jaanti hun

mujhe ye bhi hunar aata hai jaanan
teri qismat badalna jaanti hun

siyasat chhod di hai main ne warna
main tera takht ulatna jaanti hun

bhula deti hun aksar ranjishon ko
kahan tujh se main ladna jaanti hun

wafa tu ne nahin ki mujh se lekin
tujhe main ab bhi apna jaanti hun

tere dil par jo apna hath rakh dun
main tera dil badalna jaanti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close