jo hans hans ke har gham gawara kare hai ye himmat bhi ek gham ka mara kare hai kinara bhi jis se kinara kare hai madad us ki tufan ka dhaara kare hai jo dair-o-haram se kinara kare hai har ek shai mein tera nazzara kare hai pada hai jo diwana teri gali mein khuda jaane kis ko pukara kare hai tere sath hans kar guzari hai jis ne wo ab aansuon par guzara kare hai khuda us ke daman ko phulon se bhar de mujhe pattharon se jo mara kare hai taghaful se chhupti nahin hai mohabbat taghaful to aur aashkara kare hai 'shamim' us ne sahil pe mujh ko duboya jo dube huon ko ubhaara kare hai