jo hanste bolte to sharh-e-arzu karte

jo hanste bolte to sharh-e-arzu karte
buton se kis tarah allah guftugu karte

halak hasrat-e-marg-e-nau ai ajal hote
jo aur jite to marne ki aarzu karte

namaz padhni thi mehrab-e-tegh-e-qatil mein
na apne khun se kis tarah hum wuzu karte

jo dekh lete dil-e-ba-wafa ke daghon ko
to gul chaman mein na dawa-e-rang-o-bu karte

mukhalifat mein bhi gardun ki kaam ban jata
ki hum khilaf tamanna ke aarzu karte

na sunte ek bhi ye dosti ki khubi thi
hazar tum se burai meri adu karte

huzur jhut ki tawil ta-kuja aakhir
kahan tak aap ki baaton mein hum rafu karte

na ponchhte kabhi aanchal se ghair ke aansu
'shahir' wo jo mera pas-e-abru karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close