jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai chahne walon ke wo dil se utar jata hai jis taraf sehn-e-chaman se wo guzar jata hai rang phulon ka kahin aur nikhar jata hai aa bhi jao ki dua mang raha hun kab se baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai umr-bhar karwaten leta hai wo paikan-e-nazar aankh ki rah se jo dil mein utar jata hai mere kahne se zara zulf sanwaro to sahi log kahte hain muqaddar bhi sanwar jata hai bahr-e-gham mein teri yaadon ka sahaara le kar gham ka tufan bhi mere sar se guzar jata hai yak-ba-yak kaise bhula dun unhen 'jafar' dil se jate jate hi mohabbat ka asar jata hai