jo hawa hai surat-e-baad-e-mukhalif tez hai dil ka maidan hai ki ek sahra-e-afat-khez hai mere saqi dam-ba-dam kyunkar bhara aae na dil dur hun main aur saghar bazm mein labrez hai dukh uthane ki bhi aakhir hoti hai kuchh intiha bulbul-e-dil ka mere naghma bhi dard-angez hai aamad aamad hai khizan ki kyun na roe andalib gul abhi nau-kar hain sabza abhi nau-khez hai tere wahshi jate hain uftan-o-khezan su-e-dasht ho junun dekhe se aisi chaal wahshat-khez hai kyun na roen saikdon tufan utthe chah mein hum na waqif the ki bahr-e-ishq tufan-khez hai aab-e-khanjar tu mila de to chhalak jae abhi umr ka saghar yahan ek umr se labrez hai us pe marta hun mere marne ki hai jis ko khushi aariza wo hai ki jis se maut ko parhez hai tukhm ulfat ka zamin-e-dil mein bona kya zarur log kahte hain ki ye to khud mohabbat-khez hai ho jahan mashuq wan aashiq bhi hota hai zarur yan yun hi roz-e-azal se husn-o-ishq aamez hai naza mein bhi matam-e-dil hai talash-e-yar hai panw hain chaalak ab tak hath ab tak tez hai kis takalluf se nibahi main ne ulfat aap ki fakhr karta hun ki mera ishq husn-amez hai kat ke sar mera tum ne hath mein latka diya dekho ye meri wafadari ki dastawez hai kar diya hai mast sare khuftagan-e-khak ko kya hua shahr-e-khamoshan ki nashat-angez hai hai 'rashid' ab tak giyah-e-lucknow mardum giyah kya zamin hai jo ujad jaane pe mardum-khez hai