jo ho sake to takalluf ko eatibar mein la

jo ho sake to takalluf ko eatibar mein la
gulon ki taza mahak bhi mere dayar mein la

teri zaban pe bhi machlengi madh-bhari ghazlen
sukhan-nawaz tabiat ko intishaar mein la

tujhe sunaun kahani main kali raaton ki
junun-e-shauq ko be-chehragi ke khar mein la

tamam raat bikharte rahe hain sannate
meri nawa-e-pareshan ko ikhtisar mein la

ghamon ka kaam hai har dar pe dastaken dena
daricha-e-dar-e-dil ko bhi to shumar mein la

dayar-e-jaan mein tahi-dastiyan hain aam abhi
jo be-qarar si shai hai use qarar mein la


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close