jo kahte ho chalen hum bhi tere hamrah bismillah phir is mein der kya aur puchhna kya wah bismillah qadam is naz se rakhta hua aata hai mahfil mein ki ahl-e-bazm sab kahte hain bismillah bismillah lagai us ne jo jo tegh abru ki mere dil par lab-e-har-zakhm se nikli bajae aah bismillah shab-e-mah mein jo kal tuk dagmagaya wo to sab anjum wahin bole khuda-hafiz pukara mah bismillah wo jis dam nuskha-e-naz-o-ada aaghaz karta hai to hum kahte hain ek ek aan par wallah bismillah jo us ki chah ka ji mein irada hai to bas ai dil mubarak hai tujhe ja shauq se tu chah bismillah 'nazir' us dilruba mahbub chanchal se laga kar dil hamein kahna pada hai dam-ba-dam allah bismillah