jo kar ke rafu pairahan nachte hain chhupane ko dard-e-kuhan nachte hain zara bhi nahin fikr sud-o-ziyan ki sar-e-dar kya bankpan nachte hain hua tazkira jo tere gesuon ka mere sath ahl-e-sukhan nachte hain mata-e-safar laut kar qafilon ki bhare dasht mein rahzan nachte hain tere narm honton ki hiddat mein 'shafi' shagufta shagufta saman nachte hain