jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein

jo khas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
main tamam logon se mil chuka teri qurbaton ki talash mein

teri aankh se meri aankh tak faqat ek manzar-e-khak hai
wahi sham-e-tira-sarisht si mili muddaton ki talash mein

koi khwab sar se pare raha ye safar sarab-e-safar raha
main shanakht apni ganwa chuka gai suraton ki talash mein

ye jo jhankti hai nafas nafas koi mauj-e-khun si uthi hui
bane zindagi ki na qatl-gah kahin wahshaton ki talash mein

mere zakhm ab tu siyega kya mere aansuon ko piyega kya
tere zaiqe hi badal gae nai lazzaton ki talash mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close