jo khum par khum chhalkate hain honton ki thakan kya samjhenge phulon mein guzarti hai jin ki kanton ki chubhan kya samjhenge patthar ke pujari aankhon ki gahrai ko pana kya jaanen qismat pe yaqin rakhne wale mathe ki shikan kya samjhenge hum diwane hain diwane bekar sabaq dete ho hamein hum maut ke mani kiya jaanen hum dar-o-rasan kya samjhenge kya dukh hai hamein kya gham hai hamein kyun jaen kisi se kahne ko kaliyon ki jau izzat kar na sake wo dard-e-chaman kya samjhenge kyun nahaq le kar baith gae gham-ha-e-musalsal ka qissa wo dard ki qimat kya jaanen wo dil ki jalan kya samjhenge