jo khwab mere nahin the main un ko dekhta tha isi liye aankh khul gai thi isi liye dil dukha hua tha udasiyon se bhari hui iltija suni thi kisi nagar mein koi kisi ko pukarta tha wo ek sada thi ki haft-alam mein gunjti thi na-jaane kaise koi kisi se bichhad gaya tha ajib hairat bikherte the wo dastan-go ki shab ne jaane se saf inkar kar diya tha guzishtagan ko bhi ye gila tha suna hai main ne suna hai un ko bhi ism-e-azam nahin mila tha faza sunahri thi rang phaila tha chaar jaanib ki chand se wo zamin pe jaise utar raha tha safar ke aakhir pe shamen raushan si ho gai thin koi masarrat ki sab hadon se guzar gaya tha