jo koi ki yar-o-ashna hai rukhsat ki meri use dua hai kya baitha hai rah mein musafir chalna hi yahan se pesh-pa hai imroz jo ho sake so kar le farda ki khabar nahin ki kya hai mashuq to bewafa hain par umr un se bhi ziyaada bewafa hai duniya mein to khub guzri hatim uqba mein bhi dekhiye khuda hai