jo kuchh mujh se kamaya ja raha hai mahz ghar ka kiraya ja raha hai subuton ko mitaya ja raha hai yun sach ka qad ghataya ja raha hai wo patthar se ziyaada kuchh nahin hai to phir sar kyon jhukaya ja raha hai nahin niyyat madad ki hath phir bhi badhane ko badhaya ja raha hai haqiqat hum se hai munh pher baithi so khwabon ko jagaya ja raha hai alag main bhid se chalne lagi hun mujhe pagal bataya ja raha hai