jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main yun aaina-e-hasrat-e-guftar banun main aaina-e-aghaz mein dekhun rukh-e-anjam kaliyon ke chatakne ki sada se bhi darun main mere liye khalwat bhi hai hangame ki surat wo shor-e-tamanna hai ki kis kis ko sunun main thahro to ye ghar kya dil-o-jaan bhi hain tumhaare jate ho to kyun rah ki diwar banun main har gam nigahon se lipat uthte hain shoale aur dil ki yahi zid hai isi rah chalun main har ek nazar aabla-pa dekh raha hun baste hue shahron ko bhi sahra hi kahun main koi bhi sar-e-dar charaghan nahin karta aur sab ki tamanna hai ki mansur banun mein naqqashi-e-takhil se ghabra sa gaya hun kab tak yunhi khwabon ke jaziron mein rahun main jo le gaya jaan o jigar o dil sar-e-rahe wo ghar mere aa jae to kya nazr karun main mujh ko hai junun zamzama-e-barg-e-khizan ka patjhad ke liye gosh-bar-awaz rahun main 'sadiq' mujhe manzur nahin in ki numaish har chand ki zakhmon ka kharidar to hun main