jo log dida-o-dil ko tabah dekhte hain makin khwab ke aane ki rah dekhte hain hamein ab aankh ke manzar ka e'tibar nahin so hum ab aks nahin bas nigah dekhte hain ye kaisi aag lagata hai aaftab ki hum zamin-o-arsh ko hote siyah dekhte hain tum apni zat se koi mutalba na karo hum apne-ap se kar ke nibah dekhte hain hawa ne shahr ka naqsha badal diya shayad ghubar-e-rah mein hum sair-gah dekhte hain barae-nam hai bas mera muhtamim hona ki intizam to sab sarbarah dekhte hain main saf-go hun magar be-zaban lagta hun ye kis tarah se mujhe sab gawah dekhte hain karenge hum bhi kabhi farq mithe khaare mein abhi to aab ki khwahish mein chah dekhte hain nikal ke nargha-e-qahar-o-azab se 'rahat' sab apne waste ja-e-panah dekhte hain