jo log ujale ko ujala nahin kahte hum un ko bura kahte hain achchha nahin kahte jo jod na de tute hue tar dilon ke hum us ko mohabbat ka tarana nahin kahte jina ise kahte hain jo ho auron ki khatir apne liye jine ko to jina nahin kahte insan ke dil-o-zehn munawwar na hon jis se hum aise ujale ko ujala nahin kahte hairat mein kabhi jalwe ko hum kahte hain parda parde ko kabhi shauq mein parwa nahin kahte tum samne ho aur tumhein dekh na paen hum aise nazare ko nazara nahin kahte hum tum sa hasin kaise kahen shams-o-qamar ko har husn ko to husn-e-sarapa nahin kahte dil rakhne ko munh se yunhi kah dete hain achchha dil se to 'jigar' wo hamein achchha nahin kahte