jo meri aakhiri khwahish ki tarjuman thahri wo ek ghaarat-e-jaan hi mata-e-jaan thahri ye gham nahin ki mera aashiyan raha na raha khushi ye hai ki yahin barq be-aman thahri wo teri chashm-e-fusun-saz thi ki mauj-e-karam wahin wahin pe main duba jahan jahan thahri kabhi the us mein meri zindagi ke hangame wo ek gali jo guzargah-e-dushmanan thahri wahi thi zist ka hasil wahi thi lutf-e-hayat wo ek saat-e-rangin jo be-karan thahri main us ko bhul bhi jaun to kis tarah 'nasir' jo shart-e-khas mere un ke darmiyan thahri