jo meri ruh ki gahraiyon mein utra tha

jo meri ruh ki gahraiyon mein utra tha
wo ek narm mulaem hawa ka jhonka tha

us ek lams ke bare mein kya bataun tumhein
thithurti sardiyon ki tez dhup jaisa tha

main ek zamin bana ghumta tha jis ke sabab
wo ek gul tha mere chand par jo khilta tha

wo ek bagh tha jis mein thin do hasin jhilen
main un ko dekhte hi dub dub jata tha

us ek qasr ko andar se jhankne ki talab
meri nazar ne bada sakht waqt kata tha

main umr bhar ke liye khud ko bhul baitha tha
koi pukar nahin thi wo ek nashsha tha

main raushni se mila tha bas itna yaad raha
phir us ke baad se chaaron taraf andhera tha

ye aur baat ki wo mera ho nahin paya
khuda ne us ko mere waste hi bheja tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close