jo milte wo to itna puchhta main

jo milte wo to itna puchhta main
ki tum ho bewafa ya bewafa main

ye haalat ho gai marte hi mere
kabhi duniya hi mein goya na tha main

khuda jaane wo samjhe ya na samjhe
ishaaron mein bahut kuchh kah gaya main

musafir ban ke aakhir ye khula raaz
hun manzil main safar main rahnuma main

sar-e-manzil hamara qafila hai
kahan allah jaane rah gaya main

suna hai mujh mein khud maujud tha wo
khabar hoti to khud ko pujta main

wo kahte hain ki ab baqi raha kya
mitaya tum ne dil ko dil mein tha main

zamana dhundhta hai mujh ko 'afsar'
khuda jaane kahan kho gaya main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close