jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae

jo na-murad kucha-e-jaanan mein aa gae
marne se pahle gor-e-ghariban mein aa gae

chhute hi mere munchh ki tarah ukhad gai
bal lakhon teri zulf-e-pareshan mein aa gae

likkhi hain wahshiyon ke muqaddar mein do jagah
zindan se jab chhute to bayaban mein aa gae

elan-e-did sunte hi do roz peshtar
aashiq hazaron kucha-e-jaanan mein aa gae

hum pagalon ka aur thikana kahin nahin
basti mein jab pite to bayaban mein aa gae

muddat se thi inhen jo namak-pashiyon ki chah
zakhm-e-jigar uchhal ke namakdan mein aa gae

wahshat mein aa gaya hamein biwi ka jab khayal
us ko bhi sath le ke bayaban mein aa gae

pitwaya khub hi unhen darban ke hath se
jo be-bulae mahfil-e-jaanan mein aa gae

aaha ka aur hu ka ajab shor mach gaya
jis waqt 'bum' bazm-e-sukhan-dan mein aa gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close