jo nahin mumkin kabhi mumkin wo hona chahiye wo nahin mera mujhe to us ka hona chahiye aur to kuchh bhi nahin lekin sukun-e-qalb ko man ke pahlu ki tarah ka ek bichhauna chahiye mera yusuf ghaib mein hai aur main roti nahin hijr ka mujh se taqaza hai ki rona chahiye is mohabbat ka asal is ke siwa kuchh bhi nahin umr aisi hai ki tum ko ek khilauna chahiye din sunahra hai to apne aap se mil lo zarur sham-ta-shab to faqat takiya bhigona chahiye aaj fursat hai to 'zehra' faisla ab khud karo chain khoya nind khoi ab kya khona chahiye