jo nam sab se ho pyara use makan pe likh badan ki had se guzar aur is ko jaan pe likh baja hai karte hain pani pe dastakhat sab log jo hausla hai to nam apna aasman pe likh tu likhne baitha hai mere khulus ka qissa yaqin par nahin likhta na likh guman pe likh sahifa-e-dil-e-betab ki nai tafsir qalam utha aur use waqt ki zaban pe likh safar mudam safar hi to hai safar ka sila tu apna qissa-e-la-samtiyat udan pe likh sanwar shana-e-fan se tu zulf-e-qaus-e-quzah tu zindagi ke kham-o-pech phir kaman pe likh jo qul masur pe likhte hain un ka fan hai juda tu khun-e-dil se koi sher martaban pe likh har ek chiz yahan prem hi se milti hai ye ishtihaar 'karamat' tu har dukan pe likh