jo phira ke usne munh ko ba-qafa naqab ulTa

jo phira ke us ne munh ko ba-qafa naqab ulta
udhar aasman ulta udhar aaftab ulta

na qafas mein aise mujh ko tu asir kijo sayyaad
ki ghadi ghadi wo howe dam-e-iztirab ulta

mare haal par mughan ne ye karam kiya ki hans hans
mere nange sar pe rakkha qadah-e-sharab ulta

tera tishna-lab jahan se jo gaya lahad pe us ki
pas-e-marg bhi kisi ne na sabu-e-ab ulta

meri aah ne jo kholi ye qushun-e-ashk bairaq
wahin barq-o-ra'd le kar ilm-e-sahab ulta

jo khayal mein kisu ke shab-e-hijr so gaya ho
na ho subh ko ilahi kabhi us ka khwab ulta

mere dam ulatne ki jo khabar us ko di kisi ne
wahin nim rah se qasid ba-sad iztirab ulta

jo ali ka hukm nafiz na falak pe tha to phir kyon
ba-gah-e-ghurub aaya nikal aaftab ulta

agar is mein tu sah-ghazla jo kahe to kaam bhi hai
nahin 'mushafi' maza kya jo do ru kabab ulta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close