jo pinhan tha wahi har su ayan hai ye kahiye lan tarani ab kahan hai jo pahunche hath zanjiron ko toden garche panw apna darmiyan hai chamak lal-e-ba-dakhshan ki mita de tere honton pe aisa rang pan hai tujhe kahta hun sun o wahshat-e-dil wahan le chal jahan wo dil-sitan hai wo hon nazuk-mizaj ai ham-safiro rag-e-gul mujh ko khar-e-ashiyan hai mua jata hun main tarz-e-nigah se tere lab ki masihai kahan hai bula kar us se do baaten to sun le ye kahte hain ki 'goya' khush-bayan hai