jo rishton ki ajab si zimmedari sar pe rakkhi hai

jo rishton ki ajab si zimmedari sar pe rakkhi hai
to ab dastar jaisi chiz bhi thokar pe rakkhi hai

teri yaadon ki pael si khanakti hai mere ghar mein
mere kamre ke andar gunjti hai dar pe rakkhi hai

tumhaare jism ne pahlu-ba-pahlu jis ko likha tha
wo silwat jyun ki tyun ab bhi mere bistar pe rakkhi hai

tumhaare lams ki khushbu abhi tak sath hai mere
mere takiye ke niche hai mere bistar pe rakkhi hai

kahan ki be-qarari bekali aur kaisi bechaini
hatheli aap ki jab is dil-e-muztar pe rakkhi hai

ab is aashuftagi mein kya bataen silsila apna
kabhi jo khandani thi sharafat ghar pe rakkhi hai

kabhi hum us ko dil ka bojh samjhe hain na samjhenge
jo gathri zimmedari ki hamare sar pe rakkhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close