jo samajhte the mar gaya hun main dekh len sab hara-bhara hun main apne dar mein hi mubtala ho kar apne andar chhupa hua hun main sun rahe hain sabhi tawajjoh se teri baaten jo kar raha hun main ai hasin shakhs ab teri marzi teri aankhon pe mar chuka hun main main bas ek kaam se mila tha use wo samajhti hai mubtala hun main apna nuqsan karne wala hun aaj-kal khud se hi khafa hun main mujh ko masrufiyat hai daftar ki wo samajhta hai bewafa hun main main wahi hun wahi 'saghir' ahmad tere dil mein kabhi raha hun main