jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha tu apne danton se kat kar de hamare munh mein kabab aadha wo pur-gunah hun ki rah gae sab usi mein din kat gaya wo sara hanuz mahshar ke mahkame mein hua tha mera hisab aadha kahan gai ab wo lan-tarani na tab jalwe ki lae aashiq hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha jaza-e-kaamil jo chahta hai to zabh kar dal jald qatil na chhodna mujh ko nim-bismil ki paega tu sawab aadha dimagh dekho mere sanam ka gila jo karta hun main sitam ka to dete hain sari baat ka wo mujhe ba-diqqat jawab aadha safed-o-surkh hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla milaya howega us mein sanea ne maida aadha shahab aadha dupatta aab-e-rawan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye hum ki bahr-e-husn-e-sanam ka hum ko diya dikhai habab aadha ishaara hai saf ai 'qalaq' ye ki aao sahba-kashi ho baham jo us ne bheji hai apni jhuti sharab aadhi kabab aadha