jo shakhs mera dast-e-hunar kat raha hai nadan hai shadab shajar kat raha hai kya yaad nahin zulm ka anjam zamane kya soch ke sachchai ka sar kat raha hai fitrat ko kai chehron ki parton mein chhupa kar jaane ye saza kaisi bashar kat raha hai tarif gham-e-hijr ki kya mujh se bayan ho ek zahr hai jo qalb o jigar kat raha hai dil aaj tere ahd-e-mohabbat ke bharose tanhai ka dushwar safar kat raha hai kal sath tha koi to dar o baam the raushan tanha hun 'wasim' aaj to ghar kat raha hai