jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun hawa ki lauh pe mahfuz ho ke rah jaun ye kya yaqin ki tu mil hi jaega mujh ko teri judai ka jaan lewa dik to sah jaun khud apne aap ko dekhun waraq waraq kar ke kisi ke samne jaun to tah-ba-tah jaun khada hun surat-e-diwar reg-e-sahil par zara si mauj bhi aae to ghul ke bah jaun mere khuda mujhe izhaar ki wo qudrat de mujhe jo kahna hai ek lafz mein hi kah jaun harif-e-koshish-e-parwaz hai ye mausam-e-barf main aashiyan mein hi par khol khol rah jaun chatan ban ke bhi kab tak bacha rahunga 'riyaz' misal-e-khas abhi sail-e-zaman mein bah jaun