jo tasawwur mein hai us ko koi kya raushan kare aks-e-gum-gashta ko kaise aaina raushan kare hum giran-goshon mein harf-e-mo'tabar kahne ko hain dekhiye kis ki samaat ye sada raushan kare dub jae jab kabhi tarikiyon mein raushni ek diya sine mein phir us ki nawa raushan kare muntazir hain sab hawa ke chand chehre aur charag dekhiye ye kya bujha de aur kya raushan kare aasman ko chumte shahron mein fursat hai kise is khandar mein kaun ye bujhta diya raushan kare dhire dhire bujh gai jitni dilon mein aag thi ab yahan kya hai jise dast-e-dua raushan kare raat ke jangal mein main hun aur teri mubham si yaad ek diya hai ye kahan tak rasta raushan kare