jo ubhre waqt ke sanche mein dhal ke wo dube ek aalam ko badal ke gham-e-manzil tujhe shayad khabar ho yahan pahunche hain kitne kos chal ke ab un ke pas aansu hain na aahen jo gham ki aag se nikle hain jal ke zamin ki ek hi jumbish bahut hai zamin se aa malenge ye mahal ke hamin ne raston ki khak chhani hamin aae hain tere pas chal ke in aankhon ne ye an-honi bhi dekhi nasim-e-subh guzri gul masal ke zamana kyun tujhi par mar raha hai bahane jab ki lakhon hain ajal ke teri guftar par aalim fida hai teri baaton mein tewar hain ghazal ke sahar hone ko hai 'arif' khudara ghadi bhar so raho pahlu badal ke