jo un mein ho raha hai wo tamasha bhi nahin dikhta hua kya hai un aankhon ko jo itna bhi nahin dikhta tere parda-nashin hone mein to hairat hi kya lekin tu jis parde mein pinhan hai wo parda bhi nahin dikhta ye kaise aalam-e-tira-shabi mein aa gaya hun main yahan to koi jugnu se shanasa bhi nahin dikhta khuda ko dekh kar manun ye zid bhi khub hai lekin in aankhon ko zarurat se ziyaada bhi nahin dikhta