jo us ka khel tha ya dil lagi thi wahi mere liye dil ki lagi thi mila tha jab talak na sath tera adhuri kis qadar ye zindagi thi samundar ki tarah dil tha ye be-kal ajab halchal mere andar rahi thi manazir ho gae the gum ya shayad meri hi aankh be-manzar rahi thi bana hai ajnabi lagta nahin hai kabhi mujh se koi wabastagi thi andhera ho gaya jaane se us ke usi ke dam se har su raushni thi 'sabiha' us ki baaton mein tha jadu sahar mein is ki diwani hui thi