jo wahm hai dar hai pas-e-parda nahin nikla basti se abhi tak wo bagula nahin nikla hinda ki tarah jism udheda tha hawa ne lekin mere sine se kaleja nahin nikla kuchh hum tere mear pe pure nahin utre kuchh tu bhi ki mashhur tha jaisa nahin nikla go shahr mein paimaish-e-qad aam hai lekin ek shakhs bhi ham-qamat-e-saya nahin nikla poshak-e-rafu-kar ke kya kahne ki 'akhtar' ek tar gareban mein apna nahin nikla