jo waqif hai zamane ke chalan se

jo waqif hai zamane ke chalan se
wo bach jaega daur-e-pur-fitan se

unhi ki hai pas-e-parda ye sazish
bahut mashhur the jo bhol-pan se

sar-e-baatil jhuka hai aur jhukega
rahenge hum hamesha bankpan se

jise tir-o-tabar bhi kar na pae
liya hai kaam hum ne wo sukhan se

jo phulon se hamari dosti hai
kai kante jude hain pairahan se

latafat dekhiye urdu zaban ki
ki jaise phul jhadte hon dahan se

tumhein jab bhi takhayyul mein utara
nai khushbu uthi hai phir badan se

kisi ke waste hum ne bhi 'ushba'
chune hain phul ulfat ke chaman se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close