jo ye har-su falak manzar khade hain na jaane kis ke pairon par khade hain tula hai dhup barsane pe suraj shajar bhi chhatriyan le kar khade hain unhen namon se main pahchanta hun mere dushman mere andar khade hain kisi din chand nikla tha yahan se ujale aaj tak chhat par khade hain ujala sa hai kuchh kamre ke andar zamin-o-asman bahar khade hain