jo ye kahun to qanaat pe harf aata hai charagh khud nahin jalta jalaya jata hai wo aadmi jo zamane se dil lagata hai qadam qadam pe fareb-e-hayat khata hai hayat-e-ishq mein wo manzilen bhi aati hain jahan pe maslahatan muskuraya jata hai chaman mein khar ki surat agar raha bhi to kya wo phulban jo chaman ko chaman banata hai kali ki dil-shikani rang la ke rahti hai gulon mein khelne wala ye bhul jata hai ye jaanta hai ki bijli jala ke chhodegi banane wala magar aashiyan banata hai hayat jehd-e-musalsal ka nam hai yaro nasib khud nahin banta banaya jata hai sanam-kade mein bhi dekha hai in nigahon ne khuda ko dhundne wala khuda ko pata hai ajib baat hai unwan badal badal ke 'nihaal' zamana mujh ko fasane mere sunata hai