jo zakhmon se apne bahalte rahenge wahi phul hain shahd ugalte rahenge ghataen uthin sanp viraniyon ke inhi aastinon mein palte rahenge shariat khas-o-khar hi ki chalegi alam rang-o-bu ke nikalte rahenge nai bastiyan roz basti rahengi jinhen mere sahra nigalte rahenge machalte rahen raushni ke patange diye mere kajal ugalte rahenge rawan har taraf zauq-e-pasti rahega bulandi ke chashme ubalte rahenge jise sans lena ho khud aad kar le ye jhonke hua ke to chalte rahenge ye patte to ab phul kya ho sakenge magar umr bhar hath malte rahenge 'muhib' rasti hai ibarat kaji se mere bal kahan tak nikalte rahenge