josh-e-wahshat mein musallam ho gaya islam-e-ishq

josh-e-wahshat mein musallam ho gaya islam-e-ishq
kucha-gardi se meri pura hua ehram-e-ishq

mere marne se khula haal-e-mohabbat khalq par
sang-e-marqad ban gaya aaina-e-anjam-e-ishq

ye sila paya wafa ka husn ki sarkar se
chehra-e-ashiq ki zardi hai zar-e-inam-e-ishq

pahle tha rukh ka tasawwur ab hai gesu ka khayal
wo thi subh-e-ishq goya aur ye hai sham-e-ishq

aastan-e-yar par har waqt sajde kijiye
hai yahi bas din-e-ishq iman-e-ishq islam-e-ishq

hun asir-e-zulf zahir hai khat-e-taqdir se
daere harfon ke mil kar ban gae hain dam-e-ishq

arsh-e-azam se bhi unchi ho gai meri fughan
aaj tak paya na ai 'azad' auj-e-baam-e-ishq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close