ju-e-rawan hun thahra samundar nahin hun main jo nasb ho chuka ho wo patthar nahin hun main suraj ka qahr dekhiye mujh par ki aaj tak khud apne sae ke bhi barabar nahin hun main main pighla ja raha hun badan ke alaw mein aur kah raha hun mom ka paikar nahin hun main mitti safar ki pairon mein aankhon mein ek khwab thahrun kahan ki mil ka patthar nahin hun main din bhar ki bhuki pyasi chali aa rahi hai raat kis dil se uzr kar dun ki ghar par nahin hun main budhi riwayaton se bhare ek shahr mein yun bas gaya hun jaise ki be-ghar nahin hun main