juda ho kar samundar se kinara kya banega nahin socha hai ab tak wo hamara kya banega mujhe ye ek arse se zamin samjha rahi hai falak se tut kar mera sitara kya banega main aisa lafz hun jis ka koi matlab nahin hai khuda hi jaane mera istiara kya banega musawwir is liye tum ko banana chahta hai use malum hai tum bin nazara kya banega hawa se dosti kar li hai mere na-khuda ne meri kashti ka dariya mein sahaara kya banega tumhaara faisla manzur hai lekin batao bichhad ke mujh se mustaqbil tumhaara kya banega khuda-e-bahr-o-bar tu ne jo phir duniya banai hamari khak se is mein dobara kya banega