junhi lab kholta hai wo to jadu bandhta hai hasin alfaz ke pairon mein ghunghru bandhta hai andheri shab ke daman mein damakte hain sitare khayal-e-yar jab palkon pe jugnu bandhta hai meri parwaz ko mashrut kar ke nek sayyaad qafas gar khol deta hai to bazu bandhta hai sulagta khaulta mahaul aur khushki ghazal ki ki dil ek aas ka chhappar lab-e-ju bandhta hai 'naqib' ashaar apne zindagani ke safar mein koi zad-e-safar mein jaise sattu bandhta hai